
Next Morning
( Aaransh ki aankh khulti hai Wo side me dhekta hai to Naina abhi bhi chain se so rahi hoti hai Aaransh halki si smile karta hai aur pyar se uske baal uske chehre se hata deta hai )
Aaransh ( slowly ) : Good morning Buttercup...
( Naina halki si aankhe kholti hai )
Naina : Jii...
Aaransh : Uthna nahi hai kya ? Kal tumhi ne bola tha subhe jaldi uthna hai
Naina ( ekdum se uth jati hai ) : Aree haa... mujhe to yaad hi nahi raha
Aaransh ( chuckles ) : Dheere... itni bhi jaldi nahi hai
Naina : Nahi... aap hi to bol rahe the Erica ji ke ghar jana hai
Aaransh : Haa... lekin usse pehle breakfast bhi karna hai
Naina : Jii...
( Naina bed se uthne lagti hai to Aaransh uska hath pakad leta hai )
Naina : Kya hua ?
Aaransh : Kuch nahi... bas aise hi
Naina ( smiles ) : Aap bhi na...
Aaransh : Chalo... jaldi ready ho jao Me bhi fresh hokar aata hu
Naina : Okay...
( Thodi der baad dono ready hokar niche aate hai Dining table per lagbhag sab log pehle se hi baithe hote hai )
Maira : Aree wah aaj jaldi ready ho gaye Kahi jana hai kya tum dono ko ?
Aaransh : Haa wo Erica ke ghar jaa rahe hai hum
Reyana : Kyu ?
Aaransh : Wo uski health thik nahi hai so...
Reyana : Achaa thik hai
Rajveer : Phir direct waha se office chale jaoge na ?
Aaransh : Nahi chachu Aaj se me office nahi jaunga
Rajveer : Reyansh tumhe bhi nikal diya kya ?
Shourya : Tumhe bhi matlab... aapko bhi unhone nikal diya tha kya Dad ?
Rajveer : Wo kon hota hai mujhe nikalne wala ? Me khud hi nikal gaya tha huhh !!
Shourya : Achaa
Aaransh : Nahi bas Buttercup ki delivery tak me yaha uske sath hi rahunga
Rajveer : Achaa hai Sab Romeo ban gaye hai ( looking at Aathrav ) Jisse nahi banna tha wo bhi ban gaya
Aathrav ( in mind ) : Aab inko kese batau me yaha kyu ruka hu... mujhe to bas janna hai ki bhai aur Ishu kya baat kar rahe hai wo bhi mujhse chupke chupke
Vanya ( waha aati hai ) : Good morning !!
Aathrav : Tum akeli aai ? Ishu kaha hai ?
Vanya : Wo to subhe subhe hi kahi chale gaye
Aathrav : Chala gaya ? Kaha gaya ?
Vanya : Mujhe nahi pata Papa
Aathrav ( in low voice ) : Aise kese chala gaya ? Me yaha uske liye ruk gaya aur wo bahar chala gaya
Maira ( to him ) : Kuch kaha kya aapne ?
Aathrav : Nahi to !!
Maira : Hmm wese aab se aap ghar per hai to hum kahi bahar chale ?
Aathrav : Haa haa chalo ( in mind ) Ussi bahane Ishu kaha hai wo bhi pata kar lunga me
Maira : To Vidyut bhai ke pass chalte hai
Aathrav : Nahi nahi... Ishu waha thodi gaya hoga...
Maira : Kyaa ??
Aathrav ( realizes ) : Kuch nahi
Maira : Haa to chale hum ?
Rajveer : Jao jao Bhalu ko meri taraf se hi bol dena
Maira : Haa bhaiya ( to Aathrav ) Chale ?
Aathrav ( stood up ) : Haa... me zara bhai se milke aata hu
( Wo Reyansh ke room ki taraf jane lagta hai Ussi waqt Reyana waha aa jati hai )
Aathrav ( to her ) : Bhai kaha hai ?
Reyana : Wo to subhe hi chale gaye
Aathrav : Kaha ?
Reyana : Wo nahi pata Bas itna bola ki kuch important kaam karne jaa rahe hai
Aathrav : Achaa
Reyana : Haa ( Chair per beth jati hai )
Aaransh ( Aathrav ke pass jata hai ) : Chote chachu, aap kitni bhi koshish kar lo, aap pata nahi kar paenge ki Papa aur Ishu kya baat kar rahe hai
Aathrav : Wo to me pata kar lunga Itna bhi mushkil nahi hai beta
Aaransh : Achaa to aapko pata chal jaye to mujhe bhi bata dena ( To Naina ) Chalo Buttercup
Naina : Haa
( Phir wo dono waha se chale jate hai )
Maira ( to him ) : Aapko nahi jana to...
Aathrav : Nahi, tumhara itna man hai to hum jayenge
Maira ( smiles )
Car Side
Naina : Hum esse hi khali hath jayenge unke ghar?
Aaransh : Nahi, ye file hai na... wo me usse de dunga
Naina : Mera matlab hai kuch flowers leke chalte hai Achaa lagega
Aaransh : Haa, idea to achaa hai Buttercup
Naina : Haa
Aaransh : Aage ek flower shop hai Waha se le lete hai
Naina : Jiii
( Phir wo ek flower shop ke pass car rokta hai )
Aaransh ( to shopkeeper ) : Red roses ka ek bouquet de do
Naina : Jii nahi... aap Erica ko red roses denge?
Aaransh : Nahi nahi Buttercup ye to me tumhare liye le raha hu
( Ye sunte hi Naina ke chehre per blush aa jata hai )
Aaransh ( pulls her closer ) : Tum bolo to pura shop kharid lu ya ?
Naina : Jii nahii...
( Aaransh usko esse dhek ke khud bhi smile kar deta hai )
Shopkeeper ( fake coughing )
Naina : ๐ณ๐ณ
Aaransh : Sab samaj raha hu me... iske sath sath white flowers bhi de do
Shopkeeper : Okay sir
( Phir wo flowers le lete hai aur Erica ke ghar ki taraf chale jate hai )
Mishka : Shourya...
Shourya : Haa bolo Mishu
Mishka : ๐๐
Shourya : Esse faces mat banao Mishu... warna ek pregnancy ke baad me tumhe rest karne ka bhi time nahi dunga aur hamara dusra baby bhi aa jayega
Mishka ( hell shocked ) : Wo... me kuch aur keh rahi thi
Shourya : Bolo Mishu
Mishka : Wo hum bhi aaj mere ghar per jaye to ?
Shourya : Ye bhi tumhara hi ghar hai
Mishka : Wese nahi... Papa ke pass jaye to
Shourya : Sasur ji ke pass jana hai tumhe ?
Mishka : Haa chalo na unko surprise denge hum
Rajveer ( ussi time room me aata hai ) : Surpriseee....
Shourya : Ye kya hai Dad ?
Rajveer : Esse jhula kehte hai
Shourya : Ess umar me aap ye chote bache ka jhula jhulenge Dad... kesa lagega ?
Rajveer ( to Mishka ) : Beta zara 2 min apne kaan close karna to...
Mishka : Kyu Papa ?
Rajveer : Mujhe apne bete ko 2-3 galiya deni hai
Mishka ( laughing )
Shourya : Kya Dad aap bhi...
Rajveer : Ye tum dono ke baby ke liye hai
Mishka : Bohot cute hai papa
Rajveer : ๐
Shourya : Wese abhi hum bahar jaa rahe hai dad
Rajveer : Lo bolo... thodi der pehle sab ghar per rukne wale the, aab sab bahar jaa rahe hai
Mishka ( giggling )
Rajveer : Aab tum dono kaha jaa rahe ho ?
Shourya : Mere sasur ji ke ghar
Rajveer : Ooo us khadus... ( looking at Mishka ) Sorry beta, lekin me sach hi bolta hu
Shourya : Dad... ek kaam kariye, aap bhi hamare sath chaliye
Rajveer : Ruko, Sunshine se puch ke aata hu
Shourya : Okayyy
Rajveer ( to Priya ) : Sunshine....
Priya : Haaa bolo
Rajveer : Wo Shourya aur Mishka Mihir ke ghar jaa rahe hai, to kya me bhi jau ?
Priya : Nahiii
Rajveer : ๐๐
Shourya : Sorry dad, better luck next time ( to mishka ) Chalo mishu
Priya : Ruko shourya
Shourya : Haa Mom
Priya : Mera ye matlab tha ki veer akela nahi jayega, me bhi uske sath aaungi
Rajveer ( to Shourya ) : Sunaaa..
Shourya : Haa haa !!
Reyana : Mujhe bhi didi se milna hai, me bhi aaungi
Shourya : Haa haa, most welcome Chachi
Vanya ( in mind ) : Sab bahar jaa rahe hai... me yaha akeli kya karugi ๐
Aathrav ( to her ) : Vanya, tum bhi hamare sath chalo Yaha akeli hona
Vanya : ๐ฅบ๐ฅบ
Ansh Side
Aaransh : Aa gaya Erica ka ghar
Naina ( car se niche utarti hai aur side me dhekti hai ) : Ye to bhaiya ki car hai... lekin wo yaha kyu aaye honge ?
Aaransh : Chalo Buttercup
Naina : Haa
Aaransh ( rings the doorbell )
Sam ( opens the door ) : Ansh bhai, aap... aaiye
( Wo log ghar ke andar jate hai )
Sam : Didi se milne aaye hai aap dono ?
Aaransh : Haa
Sam : Thik hai, to wo uper wale room me hai Aap jaa sakte hai
Aaransh : Thik hai
Naina : Wese aur koi bhi aaya hai yaha ?
Sam : Pata nahi Me to abhi abhi room se bahar aaya hu
Naina : Thik haii
Aaransh : Koi aaya hoga to uper pata chal jayega Buttercup, chalo
Naina : Jiii
( Phir wo dono uper Erica ke room per jate hai )
Aaransh ( knocks on the door aur uski nazar sabse pehle Lakshya per jati hai ) : Tum yaha ?
Naina : Bhaiya...
Aaransh ( Lakshya ke pass jata hai ) : Tum yaha kya kar rahe ho ?
Lakshya ( kuch nahi bolta aur Naina ke pass chala jata hai ) : Kesi ho Naina tum ?
Naina : Me bilkul thik hu bhaiya
Lakshya : Koi pareshan to nahi kar raha na ?
Naina ( nodded in no )
Aaransh : Mene tumse kuch pucha...
Lakshya ( uski taraf dhekta hai )
Erica : Wo bhi yaha meri health puchne aaya hai
Aaransh : Isko kese pata ?
Erica : Wo party hui thi aur baby shower ke din hamari thodi bohot baat hui thi To hum dost ban gaye hai
Aaransh : Achaa
Naina : To aap bhabhi ko leke nahi aaye ?
Lakshya : Usko kuch kaam tha, to wo nahi aai
Naina : Okayy ( Erica ke pass jati hai ) Kesi hai aap ?
Erica : Me bilkul thik hu aab... tum kesi ho ?
Naina : Me bhi thik hu ( gives her the flowers ) Ye aapke liye
Erica : Aww thank you
( Aaransh abhi bhi Lakshya ki taraf hi dhek raha tha )
Lakshya : Esse kya dhek rahe ho meri taraf ?
Aaransh : Meri ankhe hai, kahi per bhi dheku
Lakshya : Sambhal ke... zamana bigad raha hai Kahi tumhe mujhse pyaar na ho jaye...
Aaransh : ๐๐
Lakshya ( laughs ) : Chalo me chalta hu Mera kaam ho gaya
Aaransh : Konsa kaam?
Lakshya : Erica ki health puchne ka kaam
Aaransh : Thik hai, jao aab
Lakshya : Haa byee... bye naina, dhyan rakhna
Naina : Jii
Aaransh : Uska dhyan rakhne ke liye me kaafi hu
Lakshya : Ess liye keh raha hu ki naina ko apna dhyan khud hi rakhna padega, kyuki tumhe to tumhare kaam se fursat hi nahi milti
Naina : Nahi bhaiya, essa nahi hai aaj se ye kaam per nahi jane wale
Lakshya : Ohh...
Erica : Sach me ?
Aaransh : Haa, itna shock kyu ho rahe ho ?
Lakshya : Aab koi red flag suddenly green flag ban jaye to shock to lagega na
Aaransh : Hmm
Lakshya : Thik hai to tum meri behen ka dhyan rakhna me chalta hu Byee
( And he left )
Erica : Achaa... to batao, itni subhe subhe yaha aane ka reason kya hai ?
Aaransh : Reason to do hai
Erica : Do?
Aaransh : Pehla... tumhari health puchni thi Aur dusra... ek good news deni thi
Erica : Good news ?
Aaransh ( smiles ) : Iss month hamari company ka sales almost 60% increase hua hai
Erica ( surprised ) : What... sach me ?
Naina ( smiles )
Aaransh : Haa
Erica : Wow... congratulations Finally tum logo ki mehnat rang le hi aai
Aaransh : Sirf hamari nahi... tumhari bhi
Erica : Meri ?
Aaransh : Haa Company ko grow karne me tumne bhi bohot help ki hai Is success me tumhara bhi utna hi contribution hai jitna hamara
Erica ( smiles ) : Thank you... lekin mene to bas apna kaam kiya tha
Aaransh : Aur ussi kaam ki wajah se aaj hum ye achievement celebrate kar paa rahe hai
Naina ( smiles )
Erica ( smiles too )
( Aaransh apne hath me pakdi hui file uthakar Erica ki taraf badha deta hai )
Erica : Ye konsi file hai ?
Aaransh : Dheko, tumne hamari company ke liye itna kuch kiya hai to ye hamari taraf se ek chota sa gift hai
Erica ( opens the file ) : Partnership !!
Aaransh : Haa Hum sab ye chahte hai ki tum hamari company se officially jud jao
Erica : Lekin me to abhi abhi aai hu... itni jaldi me kese...
Aaransh : Itne kam time me tumne bohot kuch kiya hai Aur wese bhi aab shayad me office na sambhal pau
Erica : Kyu ?
Aaransh : Wo president ke liye mene bhi apna naam diya hai, so...
Erica : Ohh
Aaransh : To tum hamari company ke liye perfect ho mene sign kar diye hai Tum bhi kar dena
Erica : Hmm... thank you for this
Aaransh : Haa chalo, to aab hum chalte hai
Naina ( smiles )
Aaransh : Chalo Buttercup
Naina : Haa haa ( to Erica ) Byeee
Erica : Byee
( They both left from there )
Naina ( thoda jaldi jaldi aage aage chalne lagti hai )
Aaransh : Are Buttercup itna fast fast mat chalo
Naina ( wo uski baat nahi sunti aur aage aage chalne hi lagti hai )
Aaransh ( wo thoda fast chalke uske aage aa jata hai aur uska hath aaram se pakadta hai aur usko rok leta hai ) : Buttercup tum sun bhi rahi ho me kya keh raha hu ?
Naina : Nahi aap hatiye samne se
Aaransh : Esse kyu baat kar rahi ho tum ? Mene phir se kuch kiya kya ?
Naina : Aap kaha kuch karte hai, bas aapko sabke sath baat karni hai bas mujhse nahi karni
Aaransh : Tumhare sath bhi to baat kar...
Naina : Nahi nahi, aapne mujhe bola tha ki hum yaha kisi ki health puchne aaye hai, lekin aap to bas baate hi kare jaa rahe the...
Aaransh : Tum bhi to thi na room me buttercup
Naina : Haa lekin kisi ko me nahi dikhi na
Aaransh : ๐๐
Naina : Abhi bhi aap kaha kuch bol rahe hai
Aaransh : Essa nahi...
( While holding her )
Naina ( jerks his hands away )
Aaransh : Dheko...
Sam ( waha aata hai ) : Any problem, guys ?
Aaransh : Nahi nahi, bas hum dono to baat kar rahe the
Naina : Me hi bol rahi thi ye chup hi the ๐
Sam : Ohh wese didi ko acha laga ki aap dono unki health puchne yaha tak aaye
Aaransh : Wo to aana hi tha usne hamare liye itna kiya hai to hum bhi... ( looking at Naina )
Naina : ๐ฅบ๐ฅบ
Aaransh ( chup ho jata hai )
Sam : Haa haa aate rehna aap dono yaha
Aaransh : Haa haa, sure aate...
Naina ( wo kuch nahi bolti bas waha se car ki taraf chali jati hai )
Aaransh ( usko dekhta hai ) : Hum chalte hai bye !!
Sam : Byeee... all the best!!
Aaransh ( turns around ) : Kyu ?
Sam : Bhabhi ko dekh ke lagta nahi wo aaj raat aapko bed per sone denge, iss liye couch per sone ke liye all the best ๐
Aaransh : ๐๐
( Car me dono baith jate hai )
( Naina window ki taraf dekhte hue bilkul chup hoti hai )
Aaransh ( uski taraf dekhte hue ) : Buttercup...
Naina : Hmm...
Aaransh : Abhi bhi naraz ho ?
Naina ( wo kuch nahi bolti )
Aaransh : Mujhse baat to karo...
Naina : Me to kar rahi hu na...
Aaransh : Ye jo tum ek-ek word me jawab de rahi ho, usse baat karna nahi kehte
Naina : To aur kya karu ?
Aaransh : Kuch nahi... bas meri taraf dekho
Naina : Nahi dekhna
Aaransh : Kyu ?
Naina : Aapko to sabke sath baat karni hoti hai na... meri taraf dekhoge to kisi aur se baat kaise karoge ?
Aaransh : Achaa... to ye baat abhi bhi dimaag me chal rahi hai
Naina : Haa
Aaransh : Buttercup me tumhe ignore nahi kar raha tha
Naina : Mujhe to aisa hi laga
Aaransh : Erica ki health thik nahi thi aur Lakshya bhi waha tha... to bas unse baat kar raha tha
Naina : Haa... wo to mene dekha
Aaransh : Aur tumse baat nahi ki, uske liye sorry
Naina ( uski taraf dekhti hai )
Aaransh ( apne ek haath se apna kaan pakadta hai ) : Please...
Naina ( uski taraf dekhti hai ) : Sach me sorry?
Aaransh : Haa... bilkul sach me
Naina : Pakka ?
Aaransh : Pakka
Naina : Hmm...
Aaransh : Ab smile karo
Naina ( halki si smile karti hai )
Aaransh ( smiles too )
Naina : Lekin aapko sach me mere sath thoda time spend karna chahiye
Aaransh : Haa buttercup... ab samajh gaya hu
Naina : Sirf bol rahe hai ya sach me karenge ?
Aaransh : Sach me karunga
Naina : Promise ?
Aaransh : Promise
( Naina dheere se uska haath pakad leti hai )
Aaransh ( uski taraf dekhte hue ) : Ab thik hai ?
Naina : Hmm... ab thik hai
Aaransh : Thank God... mujhe laga aaj Sam ki baat sach ho jayegi
Naina : Jii, kaunsi baat?
Aaransh : Mujhe couch per sona padega
Naina ( laughing )
Aaransh ( looking at her )
( Dono baate karte hue ghar ki taraf chale jate hai )
Home Side
( Car ghar ke bahar rukti hai )
Aaransh : Aa gaye hum
Naina : Hmm
( Aaransh car se bahar nikalta hai aur Naina ke liye door kholta hai )
Aaransh : Ghar per koi dikh nahi raha... kaha gaye sab ?
Naina : ๐๐
Servant : Wo sir, sab bahar gaye hai. Ghar per koi nahi hai
Aaransh : Ohhh
Naina : ๐๐
Aaransh ( in mind ) : Aaj ghar per koi hai nahi... ye sabse achaa mauka hai Buttercup ko khush karne ka
Aaransh ( to her ) : Tum uper jao, me aata hu thodi der me
Naina : Jii ( left )
Aaransh ( to servant ) : Suno...
Servant : Haa sir
Aaransh : Aaj tumhari chutti
Servant : Kyu sir? Mene kya kiya? Mujhse kuch galti ho gai kya ?
Aaransh : Nahi nahi, sirf aaj ke liye tum sab servants ki chutti... tum sabko bol do ki wo apne apne ghar chale jaye mujhe pura ghar khali chahiye
Servant : Lekin khana...
Aaransh : Wo sab me dekh lunga
Servant : Okay sir
Vidyut Side
Vidyut : Littleheart...
Sikha : Haa
Vidyut : Guess karo, abhi thodi der me kaun aa raha hai ?
Sikha : Koi bahut bada cricketer aa raha hai kya?
Vidyut : ๐๐
V's Mom : Haa, phir koi hero aa raha hai ?
Vidyut : ๐ฉ๐ฉ
Sikha : Jaldi bataiye na, hume jaana hai
V's Mom : Haa, phir hume ready bhi hona hai na Sikha
Sikha : Haa mumma...
Vidyut : Aap dono aise reactions mat dijiye, mujhe jealousy ho rahi hai
Both ( giggling )
V's Mom : Achaa chalo ab batao kaun aa raha hai ?
Vidyut : Wo...
Maira : Hum aaye hai mummy !!
( Dono unko dekh ke bahut khush ho jate hai )
Sikha : Didi... bhaiya...
Maira (hugs her) : Kesi ho sikha ?
Sikha : Aapko dekh ke me bahut khush ho gaiy
Maira ( smiles )
Sikha : Vanya bhi aai hai...
Maira : Haa, usse kaise bhul sakte hai ?
Sikha : Haa haa
V's Mom (to Aathrav) : Kese ho beta ?
Aathrav ( koi jawab nahi deta )
Maira ( tap on his hand ) : Mummy kuch puch rahi hai
Aathrav : Haa haa, sorry... wo mera dhyan kahi aur tha
Vidyut : Tumhara dhyan har baar kahi aur hi rehta hai...
Aathrav : Aisa nahi hai bhai
Vidyut : Dekho tum sab itne time baad yaha aaye ho to yaha sirf enjoy karna hai
Maira : Me bhi inko wahi samjha rahi hu bhaiya
Vidyut : Sabki baat samajhne wala hamari baat kaha samjhega
Aathrav : Thik hai, me bahar ki saari baate do din ke liye side me rakh dunga
Vidyut : Achaa hai... wese tum teeno yaha ho to Ishu kaha hai ? Wo nahi aaya?
Aathrav : Wo bhai ke sath kuch kaam kar raha hai
Vidyut : Lo bolo, pehle reyansh tumhe kaam per lagata tha ab ishu ko bhi laga diya
V's Mom : Koi baat nahi, wo phir kabhi aa jaega
Sikha : Haa, abhi hum sab enjoy karte hai na ( to Vanya ) Tum pehli baar yaha aai ho, chalo me tumhe ghar dikhati hu
Vanya : Okayyy !!
V's Mom : Betho tum sab, me khane ke liye kuch leke aati hu
Maira : Chaliye, me bhi aapki help karti hu
V's Mom : Thik hai chalo !!
Vidyut ( looking at him )
Aathrav : Kya hua ? Aap mujhe aise kyu dekh rahe hai ?
Vidyut : Tumhe waha koi khana nahi deta kya ?
Aathrav : Aisa kuch nahi hai
Vidyut : Dikh raha hai mujhe, aao betho...
Aathrav : Haa
( Phir wo dono aaram se sofa per beth jate hai )
Vidyut : So, Ishu kis kaam me busy hai ?
Aathrav : Mujhe nahi pata bhai
Vidyut : Tumhe nahi pata ? Aisa ho hi nahi sakta agar nahi batana hai to koi baat nahi
Aathrav : Mujhe is baar sach me nahi pata bhai, wo reyansh bhai ne mujhe nahi bataya sirf ishu ko hi bataya hai
Vidyut : Achaa
Aathrav : Haa
TBC

![The choices we make : love or family [ Phase 1 Completed (43 Chapters )]](https://sk0.blr1.cdn.digitaloceanspaces.com/sites/945845/posts/1631443/InShot20260313182106151.jpg)

Write a comment ...