
Reyansh : ansh
Shourya ( chup jata hai )
Aaransh : haa papa
Reyansh : kaha jaa rahe ho itne raat ko ?
Aaransh : wo ek kaam tha chota sa to bs wahi karne jaa raha hu papa
Rajveer : itni raat ko konsa kaam ..kahi kuch ladki โฆ
Aaransh : nahi nahi veer chachu me essa wesa kuch kaam nahi karne jaa raha
Reyansh : thik hai jao jaldi aa jana
Aaransh : okay papa
Rajveer : ache se kaam karna ansh
Aaransh : haa chachu
Shourya ( dheere se dhekta hai aur bahar aata hai ) : esse achaa to jail se bahar nikalna easy hota hai
( Phir wo dono jaldi se car ki side per chale jate hai )
Ishan : ansh bhai ( looking at shourya ) : bhaiiiii ladkii
Aaransh : shh chillao mat ishan
Ishan : haa lekin bhaii ye kon hai ladki aur apke sath kya kar rahi hai wo bhi itni raat ko
Shourya ( in girl voice ) : gf hu iski
Ishan : bhaii apki gf bhi hai ..apne mujhe nahi bataya shoumya didi ko dhoka de rahe ho ye to galat hai me abhi Jake unko batata hu
( Wo Jane lagta hai but shourya uska neck pakad ke khich leta hai )
Ishan ( shourya ko uper se niche tak dhekta hai ) : aap esse saree me ..aap gay ho ?
Shourya : eee ..me straight hi hu ye to mishu se Milne jana hai to ye sab drama karna pada
Ishan : ye galat hai aap esse chupke se nahi jaa sakte
Shourya : pyaar me sab sahi hota hai ishan
Ishan : thik hai jaiye aap dono
Shourya: jaiye nahi tum bhi chalo
( Usko car me betha deta hai )
Ishan : are bhai me kyu ..aap dono jaiye na mujhe nahi aana hai
Shourya : betho chup chap warna yaha per sabko sach bata doge tum
Ishan ( in low voice ) : me hi kyu fasta hu
Shourya & aaransh : ๐๐
( Mihir aur reyansh ki dosti bhale hi na ho but unn dono me abhi bhi family ka relation tha )
Aaransh : aa gaya ghar
Shourya ( bahar nikalta hai aur ghar ke andar jane lagta hai )
Aaransh ( stops him ) : kya kar rahe ho tum esse nahi jaa sakte ghar ke andar
Shourya : kyu nahi jaa sakta afterall ye mera sasural hai
Aaransh : abhi tak bana nahi hai shourya
Shourya : to ban jaega kuch dino me
Aaransh : abhi me jesa bolu wesa karo
Shourya : okayy
Aaransh : me andar jata hu ishan tum shourya ko leke mishka didi ke room me chale jana
Ishan ( in break voice ) : me ..me nahi ..bhai mujhse nahi hoga โฆsorry
Shourya : are ishan tu tension kyu kar Raha hai me hu na kuch nahi hota
Ishan : aap ho ess liye tension ho rahi hai bhai
Shourya : matalab me tere liye tension hu ?
Ishan : nahi mera wo matalab nahi tha bhai
Shourya : huhh Ansh mujhe iske sath nahi jana me esse baat nahi karunga
Ishan : thank youโฆto me chalta hu wapas
Shourya ( pakad leta hai ) : aab to tum hi mujhe meri mishu ke room me leke jaoge
Ishan : ๐ง๐ง
Aaransh : ho gaya tum dono ka ? Aab chale ?
Shourya : haa jao tum
( phir aaransh ghar ke andar jata hai )
Mihir : ansh tum yaha ?
Aaransh : haa kese ho aap
Mihir : thik hu batao yaha kese aana hua ?
Aaransh : wo mene shadi ka card bheja tha to aap sab aa rahe hona meri shadi me ?
Mihir : sorry beta but hum log nahi aa paenge
Aaransh : kyu chachuโฆ
Mihir : kuch kaam hai to hum out of city jaa rahe hai
Aaransh : baad me chale jana shadi ek baar hi hoti hai
Mihir : kaam bhi zaruri hai
Aaransh : to mishka didi to aaegi na
Mihir : nahi wo bhi mere sath aa rahi hai
Aaransh : achaa
Mihir : aur kuch kaam ?
Aaransh : haa wo me mishka didi ke liye kuch leke aaya tha to me unko dene ke liye jaa sakta hu ?
Mihir : thik hai jao
Aaransh : wo mere sath ishan bhi aaya hai
Mihir : kaha hai ?
Aaransh : bulata hu ( shouts ) : ishan
Ishan ( starts praying ) : bhagwan ji bacha Lena me janta hu hum galat kaam kar rahe ho but majburi hai please aap sab sambhal Lena
Shourya : chalo aab bhagwan ji ache logo ke sath humesha hote hi hai
Ishan : aap ache ho ?
Shourya ( usko marta hai ) : kya bola tumne ?
Ishan : bhaii mene bola aap ache ho ๐ฃ
Shourya : chote ho chote raho aur chalo aab
Ishan : haa phele aap apna ghunghat to pehen lo
Shourya : haa haa ( pallu pehen leta hai )
( Phir wo dono andar jate hai )
Ishan : kese ho mihir chachu ?
Mihir : me to thik hu lekin ye ladki kon hai ?
Ishan : ladki ..( looking at ansh )
Aaransh : chachu ye ishan ki hone wali wife hai
Mihir : achaa tum shadi kar rahe ho mujhe aaj pata chala
Ishan ( in low voice ) : mujhe bhi aaj hi pata chala
Mihir : love yaa arrange ?
Aaransh : love hai chachu
Ishan : ๐ง๐ง
Mihir : hmm ( looking at shourya ) : kya naam hai ?
Shourya ( in mind ) : apka damad samaj lijiye
Aaransh : wo ye bol nahi sakti chachu
Mihir : achaa lekin ghughat kyu daal hai ?
Aaransh : wo iske yaha bado ke samne esse hi jana hota hai kya hum mishka didi ko milne jaa sakte hai
Mihir : haa thik hai jao
" Shourya : finally aaj me meri mishu ko pure 24 saal ke baad milne jaa raha hu mujhe pata nahi mishu ko me yaad hoga yaa nahi ...dil thoda sambhalna kahi mishu ko dhek ke bahar mat nikal jana ... "
( Phir wo tino mishu ke room me jate hai )
Mishka ( apne room me Beth ke ek book read kar rahi thi ) : pyaar me essa hi hota hai ladke hi dhoka dete hai kitne achii femal lead thi phir bhi essa kyu kiya usne
Aaransh ( knock karta hai ) : didi kya hum andar aa sakte hai
Mishka : ansh ishu ..aao andar
Aaransh ( door lock kar deta hai )
Mishka : door kyu lock Kiya ansh ?
Aaransh : wo pata chal jaega apko didi
Ishan : dheko didi hum kuch galat nahi kar rahe ye to bs mujhe fasaya gaya hai meri marzi ke bina mujhe yaha per leke aaye hai
Mishka : kya bol rahe ho ishu ?
Aaransh : didi me isko leke jata hu aap yaha per esse baat kar lijiye ( pointing towards shourya )
Mishka : haa lekin ye ladki hai kon ?
Aaransh : apko pata chal jaega hum balcony me jaa rahe ho chalo Ishan ( left )
Mishka : are are ..chale gaye ye dono ( to shourya ) : tum kon ho ?
Shourya ( wo apna ghughat nikalta hai )
TBC


Write a comment ...