03

Chapter 2 :- They finally arrived in India

Aaransh side

Aaransh ( in mind ) : kitni achi ladki thi wo janna padega uske bare me ( to Ishan ) : suno Ishan

Ishan : haa bhai

Aaransh : wo ladke ki behen ke bare me details nikal ke mujhe dena

Ishan ( stare at him ) : ๐Ÿคจ

Aaransh : esse kya dhek rahe ho

Ishan : apko uss ladke ke papa yaa maa ke bare me nahi sirf behen ke bare me hi kyu details chaiye bhai ?

Aaransh : aa ..wo .. information rakhni padti hai tum nahi samjoge abhi tum chote ho

Ishan : sab samaj Raha hu me bhai

Aaransh : ghar aa gaya chalo andar ( itna keh ke andar chala jata hai )

Ishan : ๐Ÿคญ๐Ÿคญ

Reyana ( his mom ) : aa gaye tum

Aaransh : haa mummy aa gaya

Reyana : good aab betho shoumya ko shadi ke liye kuch jewellery decide karni hai to tum help karo uski

Shoumya : โ˜บ๏ธโ˜บ๏ธ

Aaransh : mummy ye sab mujhe nahi samaj me aata aap hi decide kar dijiye

Reyansh : sweetheart ne bola to bethna padega betho yaha per ansh

Aaransh ( chup chap Beth jata hai )

Reyana : tum dono ki shadi ho rahi hai ek nayi shuruat karne walo ho to tum dono ko ek dusre ke bare me sab pata hona chahiye

Shoumya : mujhe to pata hai mummy

Reyana : achaa aur tumhe ansh ?

Aaransh : mummy wo shadi ke baad dheere dheere pata chal jata hai

Reyana : essa kisne bola ?

Aaransh : papa ne โ€ฆ

Reyana : ๐Ÿคจ๐Ÿคจ

Reyansh : sweetheart me to hamari shadi ke baat kar raha tha ( to ansh ) : ๐Ÿคจ

Aaransh : ๐Ÿคญ

Aathrav : ansh ishan kaha hai ?

Aaransh : abhi to mere sath tha kaha chala gaya

Aathrav ( shouts ) : ishan โ€ฆ

Ishan ( waha aata hai ) : haa papa

Aathrav : kaha the ?

Ishan : wo ek ladki ki detail nikal raha tha ansh bhai ne bola tha

Reyansh ( to ansh ) : ladki ? ye konsi ladki ki baat kar raha hai ansh ?

Aaransh : kuch nahi papa esse hi ek ladki hai

Shoumya : tumhe kyu uski details chaiye ?

Aaransh : wo mere dushman ki behen hai ess liye

Shoumya : achaa

Ishan ( to aathrav ) : papa apko pata hai bhai ne jab wo ladki ko dheka to smile kiya

Aathrav : kyaa ..ansh aur smile ?

Ishan : wahi to me bhi shocked tha

Aathrav : ansh bhi reyansh bhai ke uper gaya hai ( to reyansh ) : bhaii veer bhai ka call aaya tha

Reyansh : hmm kya kaha ..ess baar bhi wo nahi aa raha yahi na

Aathrav : nahi bhai wo priya bhabhi aur shourya tino parso India aa rahe hai

Reyansh : sach me ?

Aathrav : haa bhai

Reyana : inte salo ke baad wo yaha aa rahe hai

Maira ( in low voice ) : bhaiya aa rahe hai ..itne salo ke baad ๐Ÿ˜ƒ

Shoumya : ye log kon hai ?

Aathrav : shoumya veer bhai bhi hamari family hai aur shourya unka beta

Shoumya : to wo yaha nahi rehte ?

Aathrav : nahi usa me rehte hai wo log

Maira ( to reyana ) : bhabhi chaliye na hum bhaiya bhabhi ki welcome ke liye planning karte hai

Reyana : haa chalo โ€ฆaaru shoumya tum bhi chalo

Both girls : okayy ( left )

Reyansh : aathrav hum bhi plan karte hai afterall mera dost aa raha hai itne salo ke baad

Aathrav : jii bhaii ( left )

Ishan : sab kitne khus haina bhai

Aaransh : hmm ( grab his neck ) : lekin tumhe wo ladki ke bare me batane ki kya zarurat thi

Ishan : papa ne pucha to mene bata diya apko to pata hai me jhut nahi bolta

Aaransh : hmm to kuch pata chala ?

Ishan : haa ..ye rahi uski details

Aaransh ( dhekta hai ) : naina โ€ฆkitna pyaara naam hai uska

Ishan : ๐Ÿ˜—๐Ÿ˜—

Aaransh ( notice him ) : kuch kaam nahi hai tumhe ? yaha mujhe kya dhek rahe ho ?

Ishan : bhai jis hisab ne apki niyat phisal rahi hai zara sambhalna ( itna keh ke bhag jata hai )

Aaransh ( smiles ) : aab to phisal gaiy ( looking at her face )

Rajveer side

Rajveer : shourya waha per hum ansh ki shadi ke liye jaa rahe hai to uss per focus karna

Shourya : okay dad ( in mind ) : waha ek nahi do shadi hogi dad

Rajveer ( in mind ) : mujhe pata hai itni jaldi to tum bachpan ki bate nahi bhule honge nazar rakhni padegi

( esse hi 2 din chale jate hai aur veer priya aur shourya ko pickup karne sab airport per the )

Maira : bhaiya

Rajveer ( hug her ) : maira kesi ho tum

Maira : thik hai but apko bohot miss Kiya mene

Rajveer ( kiss on her forehead ) : mene bhi Kiya aab to me yaha per aa gaya na

Maira : haa bhaiya

Rajveer ( to reyansh ) : kya baat hai aaj khud reyansh rathor mujhe lene aaya hai

Reyansh ( hugs him ) : aana pada warna pata chala india me tumhe entry nahi de rahe

Rajveer : bakwas joke tha

Reyansh ( laugh )

Priya : โ˜บ๏ธโ˜บ๏ธ

Rajveer ( to aathrav ) : mr intelligent kese ho

Aathrav : kya bhai aap bhi ..me thik hu aur aap ?

Rajveer : me bhi ( looking at ishan ) : ye tumhara beta haina ?

Aathrav : haa

Ishan ( usko pairo ko touch karne jata hai )

Rajveer : eee ..kya kar rahe ho ?

Ishan : pair chu raha tha

Rajveer : yaar me itna bhi bhudda nahi hu ..gale milo yaar ( hugs him )

Ishan : ๐Ÿ˜‡๐Ÿ˜‡

Aaransh : chachu shourya nahi dhik raha ? wo nahi aaya kya ?

Shourya ( plan se niche aata hai ) : essa kesa ho sakta hai mere bhai ki shadi hai aur me na rahu

Aaransh ( hug him )

Shourya ( hug him back ) : achaa laga yaha aake

Aaransh ( in low voice ) : tumhe to acha lagega hi uska reason bhi mujhe pata hai

Shourya ( in low voice ) : to chup raho dad ko pata chala to wapas USA bhej denge

Rajveer : kya bate kar rahe ho tum dono ?

Aaransh : kuch nahi chachuโ€ฆghar chalte hai

Maira : haa chaliye humne apke liye welcome ki planning ki hai

Shourya : kya baat hai bua ess umar me ye sab ..

Maira ( tap on her back ) : me abhi bhi young hu

Shourya ( in low voice ) : to time nikal ke ek aur bhai ya behen de do hume

Maira : ๐Ÿ˜ณ๐Ÿ˜ณ

Aathrav ( sun leta hai ) : car me betho shourya

Shourya : okiee ( beth jata hai )

( Ek car me reyansh aathrav maira priya aur veer bethe the aur dusri car me aaransh Ishan aur shourya )

Shourya : ansh mene Jo bola tha wo kaam kiya na tumne ?

Aaransh : haa mene mishka di ko invitation diya hai lekin โ€ฆ

Shourya : lekin kya ?

Aaransh : mujhe nahi lagta ki mihir chachu unhe meri shadi me ane denge

Shourya : esse kese nahi ane denge meri mishu ko โ€ฆmujhe usko dhekna hai bohot sari bate karni hai aur apne dil je baat bhi batani hai

Ishan : dil ki baat ?

Shourya : haa me usse bohot pyaar karta hu meri life me mene kisi ladki ko ane nahi diya sirf meri mishu ko hi mere dil me jagah di hai

Ishan : bhai veer mama ko pata chalega to wo Kitna gussa honge

Shourya : me handle kar lunga lekin ess baar India se apni pasand ko leke jaunga

( And then all reaches at home waha reyana aur aarohi unka welcome karti hai )

Follow like and comment

TBC

๐ŸŽฏ ( 300 likes and 50+ comments for next part )

Write a comment ...

story_of_fiction

Show your support

Give a smile on your face through my story

Write a comment ...

story_of_fiction

Writing stories that touch your hearts and stay forever